Bohat Farsooda Lagte hain Mujhe ab yaar ke qise
Gul-o-Gulzar ki batien, Lab-o-Rukhsar ke qise
Yahn Sab Ke muqadar mien faqat Zakhm-e-Judai hai
Sabhi Jhoti Fasane Hain Wisle Yaar ke qise
Bhala Ishq-o-Mohabbat se kisi ka pait bharta hai
Chalo Tum ko sunata hun mien qarobar ke qise
mere sab dost kehte hain yahi ik aib hai Imi
Sar-e-Dewar Likhta hun mien pas-e-Dewar ke qise
Mien aksar logo se is lie nahi milta
wahi bekar ki batien Wahi beqar ke Qise
Posts Tagged ‘poetry’
Bohat Farsooda Lagte hain
Posted: April 2, 2011 by Shab-e-tanhai | Muhammad Adnan Chamkani in Be-wafai, Yaar, Zakhm-e-JudaiTags: adnan chamkani, adnanchamkani, bazm e adab, bazm e ghazal, bewafai, bilal chamkani, bilal javed chamkani, Bohat Farsooda Lagte hain Mujhe ab yaar ke qise, chamkani, city university peshawar, cricket live, imran chamkani, judai, kalam e shair, moxet, pekhawar, peshawar university, poetry, punjab university, sokaniwaal, urdu adab, urdu ghazal, urdu poetry, urdu shairy, urdu sms, world cup 2011, yar, zakhm e judai
2
Aaj Shab-e-Tanhai Mai
Posted: January 10, 2011 by Shab-e-tanhai | Muhammad Adnan Chamkani in Shab-e-TanhaiTags: adnanchamkani, bialal chamkani, bilal javed chamkani, chamkani, chamkani.net, moxet, poetry, shab-e-tanhai, shairy, sokaniwaal, urdu poetry, urdu shairy
Aaj Shab-e-Tanhai Mai
Palkon pe Sitaray
Sajaye
Gham Ki Chokhat Pe baith Kar
Soch Raha Hon
Jab
Us Ne Mairay Hathon Ko Chhua Tha
To Wo
Muskura Kar Boli Thi…!!
“Tumharay Hath Kitnay Garam
Hain….aur Jantay Ho Garam hath Wafa Ki Alamat Hotay Hain”
Ye Sun Kar Main Itna Khush Hua Aur Ye Bhi Bhool Gya,
K Us k haath Kitnay Sard Thay